Mere hothon se dhuaandhaar nikalti hai jo boli
Jaise, jaise, bandook ki goli
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise, jaise, ho Eid mein Holi
Mere hothon se dhuaandhaar nikalti hai jo boli
Jaise, jaise, bandook ki goli
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise, jaise, ho Eid mein Holi
Mere jeevan ki dasha
Thoda raston ka nasha
Thodi manzil ki pyaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan kasam se
Baaki sab first class hai
Pal mein tola pal mein maasa
Jaisi baazi waisa pasha
Apni thodi hattke duniyadaari hai
Karna kya hai chandi-sona
Jitna paana utna khona
Hum toh dil ke dhande ke vyapari hain
Meri muskaan liye kabhi aati hai subah
Kabhi shamein udaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan kasam se
Baaki sab first class hai
Ho sabke hothon pe charcha tera
Bant'ta galiyon mein parcha tera
Yun toh aashiq hain laakhon magar
Sabse ooncha hai darjaa tera
Jeb mein ho athanni bhale
Chalta noton mein kharcha tera
Yun toh aashiq hain laakhon magar
Sabse ooncha hai darjaa tera
Sabse ooncha hai darjaa tera
Meri taareef se chhupti phire badnaamiyan meri
Jaise, jaise, ho aankh micholi
Mere tevar mein hai tehzeeb ki rangeen rangoli
Jaise, jaise, ho Eid me Holi
Mere jeevan ki dasha
Thoda raston ka nasha
Thodi manzil ki pyaas hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Baaki sab first class hai
Haan kasam se
Baaki sab first class hai, Haan!
No comments:
Post a Comment